Aankhein

Uski aankhein gili aur meri aankhein namm thi
Wo mere paas baithi the aur main kuch kar na saka.

Uski masoom aankhon ne mujhe dekha,
shayad keh rahi thi

“Main janti hoon ki tum mere sabkuch ho, par shayad door ho.

Samajhti hoon tumhari majbooriyon ko, par main bhi toh majboor hoon.

Tum chahte ho mujhko, maloom hai mujhe
par teri chahat ko pana shayad hi manjoor ho.”

Uski uth-ti jhukti palkein, meri aankhon se door ho gayi.

Phir se uski aankhein gili aur meri aankhein namm ho gayi.

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *