Aaj phir ek lamha phisal gaya hatho se
Lo ek din aur gujar gaya baton baton mein
Waqt nahi hota ki rok loon waqt ko
Dekho ye phir badal gaya raton mein
Baithi sochti hoon kyun ruk si gai hai jindgi
Shayad thodi thak si gayi hai jindgi
Wahi din wahi raatein hain
Bina sapnon ki phir wohi batein hain
Aur aankhon mein phir wahi barasate hain
Lo ye phir badal gaya ye baton baton mein
Gher liya hai phir se doston ne
Phir wahi chai ki pyali aur samoso ne
Goonj rahi phir hansi ki awaz hai
Jaise jindgi mein phir se naya raag hai
Phir se udne ko mann bekaraar hai
Aur ye phir badal gaya shamon mein
Chal padi hain rahein phir se
Ek nayi manzil ke liye
Phir naya raasta phir naye log hain
Badh chale phir kadam ek nayi manzil ke liye
Thoda hasa kar thoda rula kar
Lo ye phir badal gaya hathon mein aakar
Aaj phir ek lamha phisal gaya hatho se
Lo ek din aur gujar gaya baton baton mein