Ek din dil ke aangan mein
Yunhi hum sair ko nikle
___________
Har paudha sookha, har phool murjhaya,
laga mano patjhar ka mausam aaya.
Ajeeb manjar hai, har paudha bikhra pada hai.
koi toota, koi kuchla pada hai.
Par har paudhe mein laga koi na koi phool hai,
mano sawan ko patjhar kabool hai.
Ek din dil ke aangan mein …………………
____________
Har paudha ro raha hai, roke rukte nahi hain aansu,
phir bhi kyun sinchai ko taraste rahe ye maasoom?
Kyun sokh nahi pati jaren, behte hue iss dariya ko?
Kyun intzaar hai inhein aane wale sawan ka?
Ek sawan jo barse aur aur barasne ko tarse,
haan mujhe bhi intzaar hai aise hi ek sawan ka…….
Ek din dil ke aangan mein, yunhi hum sair ko nikle …..