Tootne na doonga main bhram ko tere
Tu aaj bhi hai meri aur hum hain tere
Vadaa hai Mera phir Kabhi saamne na aaunga
Aa bhi gaya toh tujhse nazren churaunga
Khulne na payegi kabhi baat dil ki mere
Jaan na payega koi ki hum hain tere
Yun toh tere hansi ke deewane kam na honge
Par Yaad rahe, uss bhid mein kabhi hum na honge
Dhoondhegi nazrein Teri nazron ko mere
Aur phir gumm ho jayegi nazron mein mere
Vadaa hai,
Tootne na doonga main bhram ko tere
Tu aaj bhi hai meri aur hum hain tere.