Tera Aana

Yun jo roz sapnon mein aate ho
Kabhi saamne bhi aa jaya karo

Teri yadon mein gujarte hain din mere
Kabhi toh haqiqat mein muskuraya karo

Chahat nahi ki cheen loon tujhe jamane se
Kabhi toh khud chalkar aa jaya karo

Rokunga nahi ye wada hai mera
Par kabhi toh khud se ruk jaya karo

Yun toh tanha gujar hi rahi hai jindagi
Kabhi toh usmein apna rang bhar jaya karo

Bahut keemati hai ye zindagi
Yun aane jaane mein isse zaya na karo

Zo aa gaye ho toh aa hi jao
Kabhi toh aakar na jaya karo

 

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *