Kya gunah kiya

Jo teri aarzoo ki maine toh kya gunah kiya
Jo tujhko chaha maine toh kya gunah kiya
Aaj bhi doob jata hai ashkon mein ye dil
Jo tujhko apna maana toh kya gunah kiya

Tassavur kam nahi hota tera chahe jamane ki batein kar loon
Kam ye gamm nahi hota mera chahe jamane ki batein kar loon
Bas itna bata de kusoor kya tha mera jaalim
Jo maine khud ko bhula diya toh kya gunah kiya

Kasam teri ashkon mein doob jayenge hum
Tu na aayi toh khud ko mita denge hum
Tere jhoothe wadon pe aaj bhi bharosa karke
Jo maine tera intzaar kiya toh kya gunah kiya

Tu tod degi dil mera malum tha mujhko
Tere pyar mein dil khayega dhoka malum tha mujhko
Phir bhi teri aankhon mein doob kar
Dil ne tujhko hi chaha toh kya gunah kiya

Jo teri aarzoo ki maine toh kya gunah kiya
Jo tujhko chaha maine toh kya gunah kiya

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *