toot gaya ya sambhal gaya hai
dil ye mera badal gaya hai
na hi dukh mein rota hain, na khushiyon mein ye hasta hai
na koi ummed hai isko, na hi khwaish kuch bhi paane ki
toot gaya ya sambhal gaya hai
dil mera kuch badal gaya hai
yaad jo uski aati hai, kehta hai ye sambhal jara
na bhag tu uske peeche peeche, ye nahi hai kal tera
toot gaya ya sambhal gaya hai
dil ye mera badal gaya hai
chahat karta hai ye uski, aur khud kehta na mil payega
khud hi khud ko roke hai, aur khud hi toot kar bikhar gaya
toot gaya ya sambhal gaya hai
dil ye mera badal gaya
khud na jaane kyun hai aisa, kyun ye dar ke saham gaya
begana hokar khud se baitha, khud duniya ko chor diya
toot gaya ya sambhal gaya hai
dil ye mera badal gaya hai