Jindgi bahut jatan kiye tujhko paane ke liye
Kabhi Khud ke liye toh kabhi jamane ke liye
Par Tu hath na aayi, phisalti hi rahi
Lamha lamha bankar chalti hi rahi
Ret hai tu aur tera wajood bhi
Mehsoos toh hota hai par thaharta kuch bhi Nahi
Bahut chaha ki rok lun tujhko tera hath thaamkar
Par tu toh aaj hai, kal kisi ka nahi
Dhokha hai wajood tera, sirf ek bhramm hai
Tu kal bhi kam thi aur aaj bhi kam hai
Kash ki tujhmein ehsaas hota mujhko samajh pane ka
Tujhe samajhne ke liye toh mera patthar hona jaruri hai