Phir na aana

Jao maaf Kiya maine tumko ..

Phir laut kar na aana tum
Jo tod Diya Hai Tumne wada
Isko na dohrana tum
Yun toh tere jaane Ka gamm bahut hai mujhe
Par ab kabhi jindgi mein laut kar na aana tum
Girte padte sambhal hi jayegi ye jindgi
Par isko sanwarne na aana tum
Ji rahe hain ji hi lenge
Phir haquiqat na ban jana tum
Tu nahi tera gamm hi Sahi
Bas yadon se bahar na aana tum
Beh jaaye chahe kitne aansuon
Un boondon mein beh na aana tum
Jao maaf Kiya maine tumko

Phir laut kar na aana tum ..

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *